Friday, 9 January 2015

ہم جنس پرستی

ہم جنس پرستی ہر دور میں کسی نہ کسی درجہ میں موجود رہی ہے مگر آج مغربی معاشرے میں انسانی حقوق کے نام پر اسے جتنی  سرپرستی حاصل ہوئی ہے، وہ اس سے پہلے کبھی نہ ملی تھی. غالباً یہی وجہ ہے کہ حالیہ اعداد و شمار کے مطابق ہم جنس پرستی میں بے تحاشہ اضافہ ہوا ہے. اس کا ایک ہلکا سا اندازہ ٢٠٠٦ کی دس سال پرانی امریکی تحقیق سے ہوتا ہے ، جس کے مطابق 'سان فرانسیسکو ' شہر کی پندرہ فیصد آبادی خود کو ہم جنس پرست کہتی ہے. ان دس سالوں میں اور مزید کتنا اضافہ ہوا ہوگا ؟ اس کا اندازہ آپ خود بخوبی کرسکتے ہیں.
ہم جنسی مرد و عورت دونوں میں موجود ہوسکتی ہے اور اسے آپ دو قسموں میں تقسیم کر سکتے ہیں. پہلی قسم جو اکثریت میں ہے وہ ان افراد پر مشتمل ہے جو اپنی زندگی کے حالات و واقعات سے متاثر ہوکر ہم جنسی کا شعوری انتخاب کرتے ہیں. اس کے برعکس دوسری قسم (جن کی تعداد نسبتاً کم ہے) ، ان اشخاص پر مبنی ہے جو کسی ایسے جسمانی نقص ک
ے ساتھ پیدا ہوتے ہیں جو ان کے 'ہارمونل بیلنس' کو متاثر کرکے صنف مخالف جیسے محسوسات عطا کردیتا ہے
پہلے غور کرتے ہیں اس اکثریت پر جو ہم جنسی کا شعوری انتخاب کرتی ہے. ہم جنسی ایک غیر فطری رویہ ہے جسے انسانیت کا مجموئی فہم ہمیشہ مسترد کرتا آیا ہے. مذہب کے مقدمہ میں پابندی کی بنیادی وجہ بھی اس فعل کا غیر متوازن اور غیر فطری ہونا ہے جو نہ صرف فرد کی ذاتی زندگی کو پراگندہ کرتا ہے بلکہ خاندانی نظم کو بری طرح متاثر کرکے معاشرے میں بھی تنزلی کا باعث بنتا ہے. سوال یہ پیدا ہوتا ہے کہ اگر ہم جنسی یا لواطت وغیرہ غیر فطری عمل ہیں تو پھر ایک انسان اس کا انتخاب کیسے کر لیتا ہے؟ .. مشاہداتی طور جو افراد ہم جنسی کو اپنا لیتے ہیں ، ان کی تربیت میں اکثر پانچ عوامل میں سے کوئی ایک عمل ضرور کارفرما رہا ہوتا ہے. پہلا یہ کہ ایک شخص سے بچپن میں ناجائز جنسی فائدہ اٹھایا گیا ہو اور وہ چاہتے نہ چاہتے کسی دوسرے شخص کی جنسی ہوس کا شکار بنتا رہا ہو. ایسا حادثہ اس بچہ کی نفسیات کو تباہ اور فطرت کو مسخ کرسکتا ہے جس کا نتیجہ آگے چل کر مستقل ہم جنسی کو اپنانے کی صورت میں نکلے.  دوسری وجہ یہ ہوسکتی ہے کہ کسی لڑکی کی تربیت لڑکوں کے طرز پر یا لڑکے کی تربیت لڑکیوں کے طرز پر کی جائے. ایسے بارہا قصہ سامنے آتے رہے ہیں جہاں بہت سی بہنوں کے درمیان جب ایک بھائی پلا بڑھا تو اس نے وہی کھیل اور شوق اپنا لئے جنہیں اسکی بہنوں نے اپنا رکھا تھا جیسے سجنا سنورنا، سنگھار کرنا، گڑیوں سے کھیلنا وغیرہ. نتیجہ یہ نکلا کہ پختہ عمر میں پہنچ کر اسے بھی دیگر لڑکیوں کی طرح جنس مخالف سے کشش محسوس ہونے لگی.
Teesri waja ye k
aik lambay zamanay tak osay jins e mukhaalif ka saath muyasar na ho saka jese koi qaafla kisi raigistaan ya jungle waghera mei muqayad ho ker reh gya. Ab zaahir
hai k os k wajood mei jinsee zaroorayat mojood hain leken onhe pora kerne ka koi jaaiz tareeqa saamnay nahi. lehaza baaz awqaat aisi sorat mei wo is zaroorat ko
gheir fitri andaaz mei pora kerne se nahi chookta jis mei hum jinsee k saath jaanwaro ya murdoo se jinsi taaluq ki kareeeh tareen misaalein bhi mojood hain.
Choothi waja ye hai k kisi shakhs k liye jins e mukhaalif ki bhermaar ho jaaye jo os se taaluq peda keray. Nateeja ye k pehle wo jins e mukhaalif se gher fitree
fentesi aazmata hai aur phir is se bhi bezaar ho kr hum jinsee ya bachoo k sath ighlaam jese gande fail mei khod ko mbtala kerleta hai. Paanchvien aur aakhree
waja ye hai k woh apne halaal rishte se haraam ghair fitree tareeqa ikhtyaar krta hai yani sodomy apnata hai jo osay kisi derje mei hum jinsee ki tergheeb dene
lagta hai. Waja in paanchon mei se koi bhi rahi ho mager ye waazeh hai k hum jinsi gher fitri tareeq ko apnane ka shakhsana hoti hai. Lehaza ye zaroori hai k in
ghair fitri waaqiat o halaat ka tadaaruk kya jaaye aur mutaasir afraad ko taleem, terbyat, saza ya nafsyaati counseling ke zarye waapis fitri dager per laaya
jaaye.
ye haqeeqat hai k Jinsi muharikaat aik zaroorat ki terha insaani fitrat mei wadyat shuda hain, mager in daayaat ka mojood hona mehz hewaaani taskeen ke liye
nahi hai balkay is ka haqeeqi maqsad afzaaish e nasl aur naee nasl ki terbyat hai. Zahir hai k ye afzaaish, jins mkhalif ke ikhtlaat se he wqoo pazeer ho saktee
hai aur ager afzaaish he na ho tu terbyat ka swaal bhi nahi peda hota. Hum jinsee ager mwaashray mei faroogh pa jaayee tu khandaani nizaam derhm berhm ho ker
reh jata hai. Ab maa, baap ya awlaad jese khobsorat rishtay jo insanyat ka aijaaz hain mafqood ho ker reh jaate hain. aik maghribi tehqeeqi maqaalay k mutaabiq
wo goud liye yateem bachay jo hm jns perast jorron ke zair nigraani palte hain, tarha tarha k nafsyaati aarzo ka shikaar ho jaate hain. ye badeehi haqeeqat hai
k insaan ki terbyat k liye maa aur baap dono ka kirdaar kaleedi hai. Isay tasleem kerne mei bhi kisi ko aar nahi hona chahyee k aik merd chah ker bhi maa nahi
ban sakta aur aik awrat chaah ker bhi baap ki kumee khatum nahi ker saktee. Ager ise tasleem kerne mei phir bhi kisi ko ibhaam ho tu on ashkhaas se pooch leejye
jo maa ya baap mei se kisi aik se mehroom rahe hon. Awrat ne merd se mazhabi, muasharti, saqaafti aur tajurbaati bunyaado per hamesha se kisi na kisi derje mei
perda kya hai. Yahan perday se muraad burqa lena nahi balkay apne ijsaam ko kisi bhi hud mei merd zaat se chopaana hai. ye perda ya khod ko chopana derhaqeeqat
merd ki os gher mamooli jnsee kashish ki waja se hai jo woh sinf e nazuk ke liye mehsoos kerta hai. Khawateen chahe perday ki pabandee ko kitna he ghalat
samjhein ya merdoo ko kitna he zyada zehni bamaar kion na qarar dein. Wo is haqeeqat ko tabdeel kerne se qaasir hain k merd o zun mein aik zaberdast jinsee
kashish mojood hai jise ijtemaai tor per lagaam dena bina hifaazati iqdaamaat ke naamumkin hai. Ager mehz roshan khyaali ya merd ki terbyaat se koi baat banna
hoti tu euorpe o america mein minute k hisaab se lerrkyaan rape na hotien aur in muaashron mei awrat ki hesiat aik sex show piece ki na hoti. Is tamheed ko
perhne ke baad zara ghor kerein k ager hum jinsee k nateeje mein yehee zaberdast kashish merd ko merd se aur awrat ko awrat se peda hojaaye tu mutaasir shakhs
ki zeehni kefyat ka kya aalum hoga? aur is se mwaashray mei jinsee bhook kitne derjay zyaada ho jaaye gee?
Aaj bohat se jidat pasandee aur roshan khyaali ke mubaligh, hum jinsi ko fitree qaraar dete hain aur iska istadlaal mei kuch jaanvaroon ki misaal paish kerte
hain jin mei hum jinsee ka rujhaan paaya gya hai. Ye aik dilchasp aur qaabile  ghor daleel hai mager ise paish kerne waale aik bunyaadi haqeeeqat ko qasadan
bhool jaate hain k jahan insaano aur janvaroo mei buht si fitree mumaasilt mojod hai wahan kaii maamlon mein insaani fitri meelanaat jaanvaroon se qatan
mukhtalif hain. Jese jaanvero mei kaprray na pehnna fitree hai mager insaan ki maashrat mei kapro se khod ko dhaankna is ke posheeda fitri meelan ka zahoor hai.
isee terha jaanvero ko jorra bana ker jinsee taaluq qaaim kerne mein ye pabandee haail nahi hoti k on ka jinsee saathi on ka haqeeqi bhai ya behn ya ma ya baap
hai. Wo bus apni jinsee zaroorat pori kerte hain aur yeheee jaanvaron ki fitrat hai. Iske beraks insaano mei koi saleem ul fitrat shakhs is tsawr se bhi ghin
khaata hai. Janvaro aur insano ke fitri meelanat ka yehee woh ferq hai jise malhooz na rakhne ki waja se kuch insaano ne nung dhrng rehne ko fitrat se qareeb
hona samjh lya. jese hindoo dhrm ke kuch saadho yehee dawa ker k berhina aur gande rehte hain. maghribi mmaalik mei 'naturist' jo akser saahil samander aur
jungle k ilaaqo mein nnange ghoomte hain, in ka falsafa bhi yehee hai k is terha wo fitrat k qareeb hotay hain. isi terhaa ' incest relationship' yani sagay
rishto se jinsi taaluq peda kerne waalo ki taadad din dugnee aur raat chugnee berrh rahee hai. Wo yehee kehte hain k insaan bhi aik jaanver hai lehaaza yerishto
ki taqseem ghlat hai. Aap dekh sakte hain k Hum Jinsee der asal aik amal he nahi balkay tabaah kun sooch hai jo insaan ko fitrat ka naam le ker fitrat se door
ker deti hai. Lehaaza kisi aise dhookay mei na aaieen jo hum jinsee ko fitree qaraar de. is waqt aqwaam e mutahida k social engineering program k teht iskolon,
kalijon aur media k zarye hum jinsee ko terveej ka her mumkin zarya ferahm kya jaraha hai.
ye mkhtsr byaan tha in askhaas ka jo hm jnsi ka daanista intekhaab kerte hain. Ab baat kerte hain us dosre chotay grooh ki jo jnyaati tor per ya tu jnsi aaza se
mehrom hotay hain ya phir jinyaati nuqs ke baais donon jinson ke aazaa le ker peda hotay hain. Aise ashkhaas maazoor k hukm mein daakhil hain. Ehm baat ye hai k
in ke is paidaaishi nuqs ko nuqs tasleem kya jaaye. Isay waja bana ker unhein hum jinsee ki ijazat nahi dee jasakti balkay jis terhan kisi dosri jinyaati kami
(genetic disease) ka ilaaj kya jaata hai, theek isee terha is ka bhi ilaaj kya jaaye ga. Ager ye pedaaishi jinyaati kamzori kisi ilaaj se dour ho sakti hai tu
ise dour kya jaaye ga takay mutaasira shakhs fitri jinsi taaluq qaaiem kerne ke qaabil ho jaaye. Ager aisa momkin na ho aur kisi jinyaati kami ke sabub donon
jins jism mein khl mlt hon tu phir aik imkaan ye bhi hai k jis teruf os shakhs ka tabyaati ya badni rujhaan zyaada ho , ise jdeed sex transformation ke
operation k zarye wo ata ker dya jaayee takay ye shakhs bhi fitri dhaare mein shaamil hosake. Yahan ye baat bhi malhooz rahay k jahan jinsi zaroryaat ka insaani
fitrat mei mojod hona aik haqeeqat hai, wahan dosri haqeeqat ye bhi hai k jinsee zaroryaat zindagee ya mawt ka masla nahi hotien aur in per qaabo paaya jana
mushkil mager mumkin hai. Lehaza beshumaar aise merd aur awrtein mojod hain jo daanista saari zindagee na shaadi kerte hain aur na he koi jinsi taaluq qaaiem
kerte hain. Lehaza ager koi shakhs kisi jinyaati jnsi kami ka shikaar hai tu osay ise aik imtehaan samjh ker qabool kerna hoga aur saber ka raasta apnaana hoga,
yahan tak k os ke liye koi fitree sabeel peda hojaaye. Humein bhi aise logon ko nafrat se nahi balkay hamdardee se dekhna chahye. In se wohee hamdardee hamein
mehsos honi chahyee jo kisi dosre jnyaati marz mein mubtala shakhs se hamein hoti hai.
Aakhri baat ye k ager koi aisa mareez bawajood ilaaj aur pabandio k chup ker hum jinsee ka irtekaab ker bethta hai tu Allah os k sath kya maamla kerein gae? tu
janaab is sawaal ka hatmee jawaab koi nahi de sakta, hum sirf asooli baatein keh sakte hain jaise bud kaari aur hum jinsee berrey gunaah hain. Mager saath mein
hum ye bhi batayeein gae k hamara Rub her shay per qaadir hai, os ne shirk k siwa kisi bhi gunaah ko mwaaaf kerne ka imkaan bataya hai aur wo aisa munsif hai k
her shakhs se os k halaat aur salahyton k mutaabiq jaza o saza ka maamla kerta hai. 

No comments:

Post a Comment